Pension case submit kaise karein ifmis system me ????


Superannuation :-

Friends , agar aapke Office me koi bhi karamchari retire hote hai jinhone apni adhivarshiki aayu purn kar li hai ,to wo is category me aenge(aese employee jinhone apni puri service complete ki hai evam reitirement date me hi wo retire ho rahe hai)  , aur unka pension case aapke karyalay se sthapana ke ifmis creator dwara taiyaar kar ,verifier se verify kar evam DDO se approve karakar ifmis system me Superannaution ki process chala kar ,District Pension Office ko online preshit kiya jata hai.

Superannaution ki process shuru karne se pehle kuch mukhya bindu par dhyan dena jaruri hai jaise :
*karyalay ki Superannuation ki hierarchy bani honi chahiye.(hierarchy kaise bnai jati hai ye aap meri old post - how to create hierarchy in ifmis post se jaan sakte hai )
*Jo karamchari retire ho rahe hai ,unki puri E-Profile ifmis system me update honi chahiye.
*E-Profile update hone par retire hone wale karamchari ki "Employee Pension Form " ka print system se nikal kar,CHECK kiya ja sakta hai .
*Employee Pension Form sahi hone par sambandhit ka pension prakaran ifmis system me sthapana creator ki login id se Service Matter option me 'Superannuation ' par click kar , sambandhit karamchari ka employee code search kar evam kis month evam varsh me retirement hai lov se select kar search par click karen.
*samabndhit ka naam pradarshit hone par ,unki Last pay details ki entry ki jaegi evam Add karne par Gratuity evam Pension ki rashi system dwara calculate hokar pradarshit hogi jiske bad niche Submit par click karne par hi Pension Case ki File Creator ki login id se verifier/Approver(DDO) ke pas approve karne ke liye Forward hogi.
*DDO dwara Pension Case ki File Approve karne par Pension Case sambandhit ka PPO jaari karne ke liye Seedhe District Pesion Office me online preshit hojaega ,jahan se PPO evam GPO jaari karne ki prakriya prarambh hogi.
Asha karta hu ye post aapke liye upyogi sabit hogi.
Thank you!!


Pension case submit kaise karein ifmis system me ???? Pension case submit kaise karein ifmis system me ???? Reviewed by Abbyhaina on नवंबर 14, 2020 Rating: 5

कोई टिप्पणी नहीं:

Featured Post

Internet se apni IFMIS login id OPEN karne ki seedhi link

http://mptreasury.gov.in/IFMS

merrymoonmary के थीम चित्र. Blogger द्वारा संचालित.